Friday, May 2, 2008
MAINE USSE JAATE DEKHA HAI ...
Maine use jaate dekha hai, us maasoom ko, kayin baras pehle, wo naa lautne ka waada karke gaya …fir bhi mein kabse usse in khilauno mein khojti rahi …par wo na aaya… Wo rooth ke gaya…. Yun waqt se pehle… ki fir na aaya… mera wo andekha bachpan. Jo kuch yaadein thi…yakeen maaniye yunhi khaas na thi…kuch yahan, kuch wahan ka rona de gaya. Us chutpan ka har aansoo fir bhi yaad mujhe hai…zehen ke dayre mein kam se kam ye sanjo sake, kaafi hai.
Par jawaani us bin bulaye mehmaan si lagti hai jo anjaane kisi maasoom ke maatam mein gumsum shareeq ho.
To wo phool kaise khile…
Kaise wo ujala ho,
Wo seher ho…?
Jawaan dhadkan ki zid koi to pehchaane,
Maine us maasoom ko jaate dekha hai….
Subscribe to:
Posts (Atom)